*Teri doli uthi Kisi aur ke dar (ghar/darwaze) ke liye toh,*
*Ek jaanaje ka pegaam tere dar par aayega,*
*Ruswa hogi mohabbat meri aur naam tera liya jayega,*
*Kahega aashiq zamana mujhe aur bewafa tujh he theraya jayega*
*Ho agar aasa kabhi, ke jaanaja uthe tere dar se mera toh*
*Pehchan lena mujhe nahi toh zamane se mohabbat ka naam uth jayega,*
*Charon aur virani si chayi hai,*
*Na tu hai na teri parchai hai,*
*Kyun tere bin maausi si chayi hai,*
*Ek baar aa ke deedar de de,*
*Is tadapte dil ko apna pyaar de de*
*Na phir chayagi yeh maausi na he teri yaad aayi,*
*Honge tum aur hum aur yeh maausi faana ho jayegi...*
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
*Deewane hai unke naam ke,*
*Is baat se humhe inkaar nahi,*
*Kaise kahe hame unse pyaar nahi,*
*Kuch toh kasoor hai unki addaaon ka,*
*Hum akele hi toh gunehgar nahi*
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
*Teri Doli uthi to ek janaza bhi zaroor jayega,*
*Teri mehndi ka raang mere khoon se hi aayega,*
*Yaad karoge hamari wafaoo ko tab,*
*Tadpogay tum bhi lekin us waqt haath mein tere kuch na aayega,*
*Yaad aayege woh pal jo saath bitaye they,*
*Kuch pal ke liye ansoo bhi teri ankhoo mein dastak de jayege*
*Yeh woh pal hoge jo zindagi bhar teri beewafa hone ke yaad dilayege*
*Yaad rakna logon jab jab kisi aashiq ke mehbooba ki doli uthai jayegi,*
*Jab jab is jaaha mein ek aashiq ka janaza bhi zaroor uthaya jayega,*
*Tabhi to us mehbooba ke haathoo mein mendhi ka raang aayega,*
*Jo us ki vidayi ka nahi us ke beewafi ki yaad dilayegi,*
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
*Dil mein Baskar Dil jalate kyon ho,*
*Mujhse nafrat hai to mere khaboo mein aate kyon ho,*
*Nahi hai tumhe mera pyaar kabool to,*
*Pyaar ke shama mere dil mein jalate kyon ho*
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
*Teri yaadon se door jana chahta hu,*
*Tujhe apni har saans se mitana chahta hu,*
*Mohabbat shabd se ab nafarat hai mujhe,*
*Is shabd ko duniyan se mita dena chahta hu,*
*Ab na raha yakin mujhe teri mohabbat par,*
*Is liye is duniyan se kudh ko mita dena chahta hu*
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
*Tanhie mein bhi tera esshaas hai,*
*aaj bhi mere dil mein tere aane ki aas hai,*
*malum hai mujhe ki tu is jaha mein nahi*
*lekin tere na hote hue mujhe lagta hai ki tu mere aas pass hai,*
*mana ki chood gayi hai tu mujh is jaha mein aakela,*
*magar kahi na kahi tu bhi us duniya mein jaroor udass hai,*
*yaad to tujhe bhi aati hogi meri,*
*tab tanhie tujhe bhi esshas delati hogi mera*
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
*Mat roko in ansoonyo ko, inhe beh jane do,*
*Jo chod gaye saath apna un ki yaad dilane do,*
*hogi nahi un se mulakat zindagi mein aab,*
*is hakkikat ko samjane do,*
*diya tha saath dene ka wada magar chod gaye rah mein,*
*is sachi ko mano aur in ansoonyo ko, inhe beh jane do,*
- Kulbhushan Chaudhary