Barson ke bad dekha, ik shakhs dil-ruba SA
Ab zehen mein nahi hai, per naam tha bhala SA
Abroo khinche khinche se, aankhein jhuki jhuki si
Batein ruki ruki si, lehja thaka thaka SA
Alfaz they ke jugnoo, awaaz ke safar mein
Ban jaye jangalon mein jis tarha raasta sa
Khuwabon me khuwab us ke, yadon me yad uski
Neendon mein ghul gaya ho jese ke rat-jaga sa
Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
Wo har tarha se lekin auron se tha juda sa
Agli muhabbaton ne wo naa muradiyan deen
Taza rafaqaton se dil tha dara dara sa
Kuch ye ke mudstone se ham bhi nahi they roye
Kuch zeher mein bujha tha ehbab ka dilasa
Hamne bhi usko dekha kal sham ittifaqan
Apna bhi haal hai ab logon Faraz ka sa
- LoveNismi (Ansh Rav)
0 comments:
Post a Comment