Wah haanth jo ponchhte then aansun mere
Mit jaate then gham,jinke duwaon ke asar se
Dhundhte hain o kaandhe,roti thin aankh jin par
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Ungli pakad kar chalna,hajaar khwahishen karna
Gujarti thi unki zindagi,hamare hi dagar se
Yaad aati hai o baaten,dil rota hai AAH aksar
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Wah ruthna hamara,Wah aansunwen bahana
Puri hoti thi khwahishe,humare is asar se
Baagh aate hain yaad,chubhte hain kaante aksar
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Dil todna na unka na taklif kabhi dena
Nikaalna hai tumhen hi unhen ashkon ke sahar se
Yatimo ko deho unhen ja kar samjho,kya hota hai tab
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Wah dhundhli si aankhen Wag maasum sa chehra
Yatimo ko dekho ge jab tum unki najar se
Samajh jaoge AAH tum bhi, kya hota hai tab
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
EHSAS-E-ILTEJA hai , ek baat meri maano
Apna aasiyana banana,unki muhabbaton ki asar se
Bahut taklif hoti hai ,hota hai KAASH hontho pe aksar
MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Thursday, March 5, 2009
Maa Baap Ka Saaya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment