Jab bhi qareeb aati hoon batanay ke liye
Zindagi door rakhti hai satanay ke liye
Mehfilon ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansti hoon gham chupanay ke liye
In faaslon ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay ke liye
jano haqeeqat mere in Aansuon ko
Main to rooti hoon tumhein rulanay ke liye
Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khaili thi aag se jal janay ke liye
Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeti thi zindagi, mar janay k liye
0 comments:
Post a Comment