Tell a Friends

Tell a Friend

Social Icons

Pages

Monday, January 18, 2010

kaun dega

Meri aankhon ko aankhon ka kinara kaun de ga
samandar ko samandar main sahara kaun de ga

Mere chehre ko chehra kab inayat kar rahe ho
tumhain mere siwa chehra, tumhara kaun de ga

Mohabbat neela ban ke aa jayegi ik din
gulabi titliyoN ko phir sahara kaun de ga,

Meri aawaz main awaz kis ki bolti hai
Mere geetoN ko geetoN ka kinara kaun de ga,

badan main aik sehra jal raha hai bujh raha hai
Mere daryaaON ko KAISAR ishara kaun de ga.

Meri aankhon ko aankhon ka kinara kaun de ga
samandar ko samandar main sahara kau de ga

- Loveable Poet                          Give Comment

Friday, December 4, 2009

Aisi Umr bhar meri haalaat ho jaaye....

Bas yuhi nikal pade hai

Shaayad teri Mulaqaat ho jaaye

Ke hum-tum ho chhat par

Aur phir woh barsaat ho jaaye

Din Aachal mein tere guzre

Zulf teri Chaandni Raat ho jaaye

Saasein Khushboo se lu teri aur

Sulge Sulge se Jazbaat ho jaaye

Har Ghazal mein tere naam ki Dua ho

Kuch is tarah dil ke Khayalaat ho jaaye

Zikr Khuda se karu Khuda ka

Aur har dum teri baat ho jaaye

Yeh maana ki tu Mukaddar mein Nahi

Phir bhi har Rehguzar Tere Saath Ho Jaaye

Mere Aks mein tu Nazar aati rahe sadaa

Aisi Umr bhar meri haalaat ho jaaye....

- Loveable Poet                          Give Comment

Jis roz mulaqat ho jae....

Jis roz mulaqat ho jae....

us roz qayamat ho jae....

hontoan pe hasi ho lekin

aankhoan se shikayat ho jae....

maangu na kabhi aur mil jae

koi aesi karamt ho jae...

mere qalm aur mere lahoo se

URDU ki hifazat ho jae.....

din me rind raat ko wali

aesi apni sharafat ho jae...

unse muhabbat tab thi SaLam

chalo ab adawat ho jae...

Hontoan pe hasi ho lekin.......

Ankhoan se shikayat ho jae.....

- Loveable Poet                          Give Comment

કઇંક થાય ને મળવા આવે દોસ્ત હજાર

 

કઇંક થાય ને મળવા આવે દોસ્ત હજાર,

ક્યાં એવી રીક્ષા અને ક્યાં એવા રસ્તા,

ત્યાની રેસ્ટોરન્ટ મોઘીં ને ત્યાના પાન સસ્તા,

Mehsana મા જાત જાત ના લોકો વસતા,

ફ્રેન્ડસ જોડે ટાઇમ નીકળે હસતા હસતા.

ક્યાં એવો વરસાદ,

ક્યાં એવી ગરમી,

કોને યાદ નથી મમ્મી ના ખોળા ની નરમી.

ક્યાં મળે છોકરીઓ આટલી હસતી શરમાતી,

ક્યાં મળે કોઇ સુરવાલ સાડીમા દિલ ધડકાવતી,

ક્યાં મળે કોઇને દુકાન આટલી સસ્તી,

ક્યાં મળે દુકાનદારોની આવી ઘરાક ભક્તી,

ક્યાં મળે કોઇને જીવન મા આટલી મસ્તી,

સૌથી બેસ્ટ આપડી Mehsana ની વસ્તી..

ક્યાં એવી ઉત્તરાયણ, ક્યા એવી હોળી,

તહેવારો મા ભેગી થાય આખી ફ્રેન્ડસની ટોળી,

ક્યાં એવી નવરત્રિ,

ક્યાં એવી દિવાળી,

ક્યાં એવા ડાન્ડીયા,

ક્યાં એવા ધમાકા.

ક્યા મળે Fuvara Bazar ની રંગીલી સાંજ,

ક્યા મળે Modhera Road ની ચટાકેદાર રાત,

ક્યા મળે એ gathiya jalebi ni મજા,

ક્યા મળે એ મોડી રાતોની રજા,

ક્યા મળે Rangoli જેવી પાવ-ભાજી,

ક્યા મળે Zalak જેવુ પાન,

ક્યા મળે PRATIMA જેવી ચા ને કોફી,

ક્યા મળે Sahyog જેવી નાન.

Mehsana નો રંગ નીરાળો,

Mehsana નો ઢંગ નીરાળો

- Loveable Poet                          Give Comment

Aisi Apni wife ho,

 

Aisi apni wife ho,

5.5 Jiski hight ho,

Jeans jiski tight ho,

Chehra jiska bright ho,

Weight mein thori light ho,

Umer mein difference slight ho,

Thori se woh quite ho,

Toh mamorable her ek night ho,

Aisi apni wife ho,

Sarak per sab kaheen kya cute hai,

Bheer mein sab kahee hindustan ki paidaish ho,

Beauty multiply by twice ho,

Favorite color white ho,

Make up thora light ho,

Zulfain dynamite ho,

Aankhein uski jaise sunny twilight ho,

Honton ko dekh kar lagey jaise coke diet ho,

Jub sari pehan ker nikley toh kya sight ho,

Aisa lagey jaisey swtizerland ki flight ho,

Aisi apni wife ho agar aisi toh kya haseen life ho..

- Loveable Poet                          Give Comment