Tell a Friends

Tell a Friend

Social Icons

Pages

Sunday, May 24, 2009

Jab bhi qareeb aati hoon batanay ke liye....

Jab bhi qareeb aati hoon batanay ke liye
Zindagi door rakhti hai satanay ke liye

Mehfilon ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansti hoon gham chupanay ke liye

In faaslon ko na samjho  meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay ke liye

jano haqeeqat mere in Aansuon ko
Main to rooti hoon tumhein  rulanay ke liye

Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khaili thi aag se jal janay ke liye

Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeti thi zindagi, mar janay k liye

- LoveNismi (Ansh Rav)

0 comments: