Tell a Friends

Tell a Friend

Social Icons

Pages

Thursday, August 5, 2010

Yaad Rehengi....

Yeh pyaari nigahein yaad rahengi,
Mil kar na milne ki ada yaad rahegi,
Mumkin nahi ki main tumhe bhula doon,
Aur umar bhar tumhein bhi meri yaad na aaya !!


Sayari banti hai zindagi ke lamhon se,
Lamhe bante hai khubsurat palon se,
Inpalon ko kabhi khone matdena,
Hume apne se dur kabhi hone mat dena !!


Mulakat bbi kabhi aasu de jati he,
Najre bbi kabhi dhoka de jati he,
Gujre huye lamho ko yaad karke dekhiye,
tanhayi bhi kabhi sukun de jati hai !!


Itni dosti na karo ki bigad jaye hum
thoda danta karo ki sudhar jaye hum
ho jaye koi khata to ho jana khafa par
itna bhi nahi ki mar jaye hum !!


pyaar kia to uski mohabat nazar aayi,
dard hua hume to palke uski bhar aayi,
Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar aayi,
dil to vinod ka dhadka par
awaz shilpa ke dil se aayi !!


Na pine ka shok tha na pilane ka shok tha,
vinod ko to sirf najre milane ka shok tha,
par kya kare ham nazre hi usse mila baithe,
jise nazro se pilane ka shok tha !!


Ae khuda tumne hume Kitaab banaya hota,
Vo jab jab hote tanha,
Hame haatho mein uthaya hota,
Wo padte-padte so jate,
Aur hume seene se lagaya hota !!


Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,
Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,
Jaane kya baat hai aap mein,
Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya !!


Reh na paoge kabhi bhulakar dekho,
yakin na aata ho to aazmakar dekho,
har jagah mehsoos hogi hamari kami,
apni suni mehfilon ko kitna bhi saja kar dekho !!

Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho,
jaise zindagi ko sanso ka sahara ho,
Yaad karna hamein us pal mein,
jab tum akele ho or koi na tumhara ho !!


Har raat ek dhun gungunati hai
Har ful se mahak jarur aati hai
Apke man mein khayal tak na ho
Par hame har waqkt aap ki yaad aati hai !!


Ek hi din me begaane ho Gaye.
kal tak haqeekat the,
ab afsaane ho Gaye.
shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai,
ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye !!


Pyar se pyari koi majburi nahi hoti,
Kami apno ki kabhi puri nahi hoti,
Dilon ka juda hona ek alag baat hai,
nazron se dur hona koi duri nahi hoti !!


kABHI Gamo se TumHari mulaqAT nA ho
Udaas bethe ho aise koi baat na ho
shiqayat ho to maaf kerdena
fursat main bethe ho humien yaad ker lena !!

Tinko se bana pal, pal se bana lamha
aur lamho ne waqt ko buna,
hr pal koi kisi ke sath nahi reh sakta
isliye shayad khuda ne yado ko chuna !!

Kati kahin pe raat to kati sahar kahin
Rahe wafa mein chain na paya magar
kahin Wo sun rahe hai yu mera afsana e hayat
Dil hai kahin khyal kahin aur nazar kahin


Dil mein panap rahi hai bas yehi arzoo
Ya rab mile humko koi humsafar kahin !

- Love Nismi                                 Give Comment

0 comments: