Tell a Friends

Tell a Friend

Social Icons

Pages

Friday, November 7, 2008

*** BADA ACHA LAGA ***


**-*-* FOR YOU *-*-**

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

aaj khud se hi baat karke bada acha laga

kisi ko apna majak banate hue dekhkar bada acha laga

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

kisi ki yaadon ko seene se lagakar rakhna bada aasan hai

kisi ke dukh main aansu bahana bhi bada aasan hai

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

par jab unhone hmare dukh main muskraya to bada acha laga

aaj khud se hi baat karke bada acha laga

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

kisi ka haath pakadkar saath rah par to chal sakta hai har koi

kisi ki tanhae ko apna bhi maan sakta hai har koi

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

par jab wo wada karke akela chod gaye to bada acha laga

aaj khud se hi baat karke bada acha laga

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

kisi ko marte dekhkar begane bhi ho jaate hain apne

unko dekar payar aur apnapan dikhate hain sapne

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

par jab wo taufe main de gaye maut to bada acha laga

aaj khud se hi baat karke bada acha laga

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

kisi ki prem kahani ko heer ranja ki mohabbat kehna acha hai

kisi ki dil e mohabbat ko veer zaara ki kahani kehna acha hai

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

par jab hamare payar ko diya bewafae ka naam to bada acha laga

aaj khud se hi baat karke bada acha laga

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

- RAMU GARG

- LoveNismi (Ansh Rav)

0 comments: